Download Dars-2 (MP3 Format)
Download Dars-2 (Original Recording)
Dars conducted on: 23rd December 2015
Dars Highlights:
Download Dars-2 (Original Recording)
Dars conducted on: 23rd December 2015
Dars Highlights:
Musannif: Imaam Muhammad ibn Abdul Wahhaab ibn Sulaimaan at Tamimi Rahimahullah
Qawaaid ka maa'na:
Qaaidah (muzakkar) ka jama jiska maa'na hai woh buniyadi cheezen jiske upar dusri cheeze munhasir (dependent) hai.
Arbaa' اربع ka maa'na:
Arbaa' ka maa'na chaar (4) ke hain. Chunke qaaidah muzakkar hai (qawaaid muannas hai), isliye iski ginti (Arbaa') muzakkar hona chahiye.
Arbi me Adad aur ma'dood ka ek qaaidah:
3 se 9 tak ki ginti me agar ginne ki cheez (that which is counted) muzakkar aayega toh ginti (count) muannas hoga and vice versa.
In qawaaid ko samajhne ki zaroorat isliye hai taaki tawheed aur shirk apas me khalat malat na ho jaye aur tawheed mahfooz rahe. Ye qawaaid quran aur hadees se hi se liye gaye hain.
Muqaddimah:
"Main Allah se sawal karta hoon jo arsh e azeem ka rabb hai ki woh aapko is duniya aur aakhirat me apna wali banaye."
Wilayat ki pehchaan ye hai ki Allah use taareeki (zalaalat o gumrahi) se noor/roshni (emaan aur hidaayat) ki taraf le jaye. (Surah Baqarah, 257)
Taghoot: Tughyaan lafz se bana hai, jiska maa'na hai hadd se badha dena. Taghoot har us cheez ko kehte hain jiski Allah ke siwa ibaadat ki ja rahi ho.
"Aur aap jahan kahin bhi rahen Allah aapko babarkat banaye rakhe."
Khushi, kamyabi aur sa'aadat ke 3 kunjiyan:
- Jab diya jaye toh shukr kare
- Jab aazmaish me mubtala kare toh sabr kare
- Jab gunaah kare toh maghfirat talab kare.
-- Majalisulilm Admin

