Download Dars-10 (6 MB)
Dars conducted on: 1st June 2016
Dars Highlights
PEHLA USOOL: Rabb ki maa'rifat
Rabb ka maa'na - tarbiyat aur parvarish karne wala.
Mera rabb Allah hai jo meri aur tamaam makhluqaat ki dekh rekh kar raha hai apni ne'mato ke zariye.
Daleel: الحمد الله رب العلمين (surah faatiha, 1)
'Alam علم ka maa'na - Nishani, har woh cheez jo khaliq ki nishandehi karta ho jaise nabaataat, jamaadaat, insaaniyat etc.
Apne rabb ko kaise pehchana? - Uske aayaat aur makhluqaat ke zariye se
Allah ke nishaniyon me raat aur din, suraj aur chaand hain aur makhluqaat me se saat aasmaan aur saat zameene aur jo kuch unke darmiyan me hai.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-9 (5 MB)
Dars conducted on: 11th May 2016
Dars Highlights
Ibaadat ki qisme:
1. Qauni ibaadat: Zameen aur aasmaan ki tamaam makhluqaat Allah ke maa tahat hone ke wajah uske bande hain, isme bande ka koi ikhtiyaar nahi
2. Shar'ee ibaadat: Allah taa'la ke naazil kiye hue shariat ke mutaabiq amal kare
Allah taa'la ki tawheed 3 aitebaar se aitraaf karna:
1. Rububiyyat - Allah ke waahid rabb hone ka aitraaf karna
2. Uluhiyyat - Tamaam ibaadaat sirf aur sirf Allah taa'la ke liye saabit karna
3. Asmaa was sifaat: Allah ko uske naamo me aur sifaat me akela samajhna
Sabse pehla aur aakhri waajib kaam Tawheed hai. Iska maa'na yeh hai ki jab tak tawheed hai islam se bahar nahi ho sakta aur jab tak tawheed nahi islam me daakhil nahi ho sakta.
Sabse badi cheez jisse Allah ne mana kiya woh Shirk hai.
Allah ke rububiyyat me, ibaadat me ya uske asmaa was sifaat me kisi bhi cheez ko chota ho ya bada shareek kare toh ye Shirk hai.
TEEN BUNIYADI USOOL:
Taaleem dene ke liye sawaal karne ka maqsad:
1. Shauk dilana
2. Mas'ala ko achhi tarah zahan nasheen karana
Yeh 3 usool qabr ke woh 3 sawaalaat hain jise munkar aur nakeeq poochenge
Woh teen usool hain:
1. Bande ka apne rabb ki maa'rifat haasil karna
2. Apne deen ki maa'rifat haasil karna
3. Apne nabi Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki maa'rifat haasil karna.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-8 (11 MB)
Dars conducted on: 4th May 2016
Dars Highlights
Itaata ka maa'na hai apne bade ki chahat ke mutaabiq apne aap ko dhaalna. Yaani, jin baton ka hukm diya jaye use kare aur jin baton se mana kiya jaye usse bache.
Haneefiyyat, Hanf حنف lafz se aaya hai jiska maa'na hai maa'il hona, jhukao hona.
Haneefiyyat ka Shar'ee maa'na: Sabse qata talluq karke Allah taa'la ke taraf aa jana, jhuk jana.
Pure taur par har tarah ke sharr se apna rishta kaat karke hasanaat ke taraf maa'il ho jana.
Millat ka maa'na hai deeni aitebaar se koi raasta ya manhaj.
Haneefiyyat naam hai Khaalis Allah taa'la ki ibaadat bina kisi milawat ke karna.
Ibaadat ka maaña hai maa tahati, jhukao, pasti, inkesaari, aajiz, zaleel jana.
Allah taa'la ki ibaadat me Mohabbat aur azmat ka pahlu hona zaroori hai.
Ibn Taymiyyah rahimahullah Ibaadat ki tareef me kehte hain: Jis kaam ko Allah taa'la pasand kare woh kaam ibaadat hai.
Liyaa'budooni (Surah Zaariyaat, 56) ka maa'na mufasireen ne liyuwahhidooni liya hai jiska maa'na hai Allah ki tawheed ko manna.
Ikhlaas خلص ka maa'na hai chutkara paana, milawat aur shirk se chutkara.
Sabse badi cheez jiska hukm Allah ne diya woh Tawheed hai jiska maa'na hai افرادالله فى العبادة Allah taa'la apne ibaadat me akela hai.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-7 (6 MB)
Dars conducted on: 20th April 2016
Dars Highlights
2. Allah taa'la is baat se kabhi raazi nahi hota ki uske sath kisi ko shareek kiya jaye chahe woh koi muqarrab farishta ya bheja hua rasool hi kyon na ho.
Masjid ka maa'na: jaye sajdah, sajdah karne ki jagah
Dua ka maa'na ibaadat bhi hota hai.
Allah taa'la ne shirk ko mitane ke liye ambiya aur rusul ko bheja, kitaben aur sahife bheje, jihad ka hukm diya etc.
Teesra mas'ala:
3. Jo Allah aur uske rasool ki itaa'at kare aur shirk se bache toh uske liye jayaz nahi ki kisi aise shaksh se dosti ya rishta naata rakhe jo Allah aur uske rasool se dushmani rakhta ho.
Al walaa wal baraa' (dosti aur dushmani) islam ka ek buniyadi mas'ala hai.
Emaan walo me jis qadr farmabardaari ho us qadr usse mohabbat aur jitni naafarmaani paaya jaye utna usse nafrat kiya jaye.
Kaafir se kabhi bhi dili dosti aur mohabbat nahi honi chahiye.
Is mas'ale me kaafiro ke sath samaaji talluqaat, padosi ka haqq aur khair khwahi ka mam'la alag hai jo uske sath kiya jayega.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-6 (7 MB)
Dars conducted on: 13th April 2016
Dars Highlights
Woh teen masaail jinka janna aur uspar amal karna zaroori hai:
1. Allah taa'la hi ne hame paida kiya aur usne hame rizq ata farmaya aur usne hame be maqsad nahi choda balki hamare taraf rasool bheja. Jisne rasool ki itaa'at ki woh jannat ka haqdaar hoga aur jisne rasool ki nafarmani ki woh jahannam ka haqdaar hoga.
Do tarah ke giza insaan ke liye zaroori: Jismani giza aur roohani giza.
Ibn Qayyim rahimahullah farmate hain: Roohani giza jismani giza se zyada aham hota hai.
Khalaqana خلقنا ka maa'na ye hai ki kisi cheez ko aagaaz se bina koi misaal ke paida karna.
Hamalan حملا ka maa'na hai be-maqsad, fuzool
Allah ka hamare taraf rasool bhejna uske taraf se bahut bada enaam, ehsaan, aur uska adl o insaaf hai.
Rasl رسل, irsaal ارسال ka maa'na hai bhejna, Mursal مرسل matlab bheja hua.
Rasool bhej kar Allah taa'la ne tamaam qaumo par hujjat qaayam kar di hai.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-5 (5 MB)
Dars conducted on: 6th April 2016
Dars Highlights
Ek shubah ka izaala:
Dawat ke talluq se jitni bhi aayatein aur ahaadith aayi hai usme kahin bhi tafreeq nahi hai ki "dawat" lafz gair musalmano ke liye istemaal ho aur musalmano ke liye "islah" lafz.
Allah ne jahan dawat ka zikr kiya wahan mad'oo ka zikr nahi kiya. Mad'oo me sab shaamil hain. (Imam Shawkani, Fath ul qadeer)
Chautha Masa'la:
4. Sabr:
Sabr ka maa'na hota hai Rokna, tikana, jamana.
Sabr ki 3 qisme:
A. Allah ke taraf se aayi hui pareshani aur museebat par sabr karna, shikwa aur gila na karna.
B. Allah ke maa'muraat (karne ke kaam) par jaise waajibaat par, namaaz qaayam me, tawheed par sabr kare.
C. Allah ke manhiyaat (nahi karne ke kaam) par jaise haraamkhori, zinakaari, shirk se apne aapko roke rakhne me sabr kare.
In charo masaail ki daleel hai surah Asr.
Imam Shafai ke qawl ka maa'na: In charo cheezein ke bayaan aur samjhane ke silsile me koi aur aayat ki zaroorat nahi padti, yahi surat ummat ke liye kaafi thi.
Ibn Qayyim rahimahullah farmate hain: Nafs se jihaad karne ke 4 maraatib hain.
A. Apne nafs ko ilm haasil karne par dabao dale
B. Apne nafs ko us ilm par amal karne par amaada kare.
C. Allah ke deen ki dawat dene ke liye nafs ko raazi kare.
D. Dawat dene me aane wali pareshaniyon par sabr karne par nafs ko aadi banaye.
Imam Bukhari ka qawl: Bolne aur amal se pehle ilm haasil kare.
Salaf kehte the, ilm haasil karne ka maqsad apne upar se aur doosro se jahalat door karna hai.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-4 (6 MB)
Dars conducted on: 30th March 2016
Dars Highlights
Dawat ilal Allah (Contd.):
Jis cheez ka ilm haasil kiye, aur jis par amal kiye, uski dawat dena yaani us khair aur bhalaai ki taraf bulana.
Dawat ilallaah ki 4 maraatib:
Surah Nahl, 125
A. Hikmat: Allah ki taraf bulana ya Allah ke raaste ki taraf bulana dono ek hi cheez hai.
Hikmat: Woh saari khoobiyan jisse dawat ka maqsad pura ho, sab hikmat me shaamil hain.
B. Mou'izatil hasanah (Achhi naseehat)
C. Ahsan Jidaal (Achhe tareeqe se bahas)
Surah Ankabut, 46
D. Zulm karne wale se achhi bahas, jidaal, mubaahla kiya jaye.
Chaaro maraatib me ilm ka hona mushtaraq (pre requisite, common) hai. Bagair ilm ke dawat mumkin nahi.
Ambiya alaihis salaam ne kabhi bhi ilm ke bagair dawat nahi di.
Dawat ke tareeqe:
Duroos
Khitaabat
Juma khutbah
Muhaazraat (public lecture)
Maqaalaat (Articles, pamphlets)
Halaqaat e ilm
Tasneef, tahreer
Khaas majaalis (on special issues)
Dawat ilal Allah ambiya alaihimus salaam ka mission raha hai.
Chautha mas'ala:
4. Dawat ilallaah me Sabr:
Sabr ka mafhoom: Tamaam pareshaniyaan, masaaib, zulm ko jhel kar apne maqaasaid par qaayam rehna.
Allah taa'la ne rasool e akram sallallahu alaihi wasallam ko sabr karne ki talqeen farmaayi.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-3 (6 MB)
Dars conducted on: 23rd March 2016
Dars Highlights
Deen e islaam ki maa'rifat:
Islaam ka aam maa'na: Allah taa'la ke taabedaar, maatahat aur supurd ho jana. Nabi sallallahu alaihi wasallam ke bheje jane se pehle ka maa'na.
Islaam ka Khaas maa'na: Nabi sallallahu alaihi wasallam ke bheje jane ke baad jo kuch unhone deen ke talluq se bataya, famaya.
Daleel ka lugwi maa'na: raasta dikhane wala, rahnumayi karne wala
Baaz ulama ne kaha Ilm hi daleel hai
Daleel ki qisme:
a. Daleel e samee': Suni hui daleel, Hadith, sunnat
b. Daleel e aqli: Aql istemaal karke baat ko samajhna
c. Daleel e qauni
Doosra mas'ala:
2. Amal karna:
Salaf ka qawl: Jisne Allah ki ibaadat bagair ilm ke kiya, uska faidah kam nuqsaan zyada hoga.
Teesra mas'ala:
3. Dawat:
Ulama hi dawat dene ke asal haqdaar hain.
Bagair ilm ke dawat mumkin nahi.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-2 (4 MB)
Dars conducted on: 9th March 2016
Dars Highlights
Ilm/idraak ke 6 maraatib:
1. Ilm
2. Jahl baseet
3. Jahl murakkab
4. Shakk
5. Zann
6. Waham
Chaar masaail jinko janna zaroori hai:
Pehla mas'ala:
1. Ilm haasil karna: Allah ki maa'rifat, uske Nabi ki maa'rifat aur uske deen ki maa'rifat daleel ke saath.
Ilm ke bagair Allah taa'la par imaan lana mumkin nahi
Allah ka ilm kaise ho?
A. Anfus ki nishaniyaan, apni zaat/nafs par gaur o fikr kare
B. Aafaaqi nishaniyaan, jaise chaand, sitare, pahad, samandar, din, raat par gaur o fikr kare
C. Shar'ee nishaniyaan, jaise kitabullah, Ambiya, deen
Allah ki Maa'rifat ka maa'na:
Aisi maarifat jo bande ko uske rabb ke samne jhukne aur uske hukm ke mutaabiq amal karne par majboor kar de.
Nabi ki maa'rifat ka maa'na:
Aisi maa'rifat jo insaan ko nabi ke laye hue shari'at par amal karne par majboor kar de.
-- Majalisulilm Admin