Friday, 19 August 2016

Usool ath thalathah (The Three Fundamentals) - Dars-3


Download Dars-3 (6 MB)
Dars conducted on: 23rd March 2016

Dars Highlights

Deen e islaam ki maa'rifat:

Islaam ka aam maa'na: Allah taa'la ke taabedaar, maatahat aur supurd ho jana. Nabi sallallahu alaihi wasallam ke bheje jane se pehle ka maa'na.

Islaam ka Khaas maa'na: Nabi sallallahu alaihi wasallam ke bheje jane ke baad jo kuch unhone deen ke talluq se bataya, famaya.

Daleel ka lugwi maa'na: raasta dikhane wala, rahnumayi karne wala

Baaz ulama ne kaha Ilm hi daleel hai

Daleel ki qisme:
a. Daleel e samee': Suni hui daleel, Hadith, sunnat
b. Daleel e aqli: Aql istemaal karke baat ko samajhna
c. Daleel e qauni

Doosra mas'ala:

2. Amal karna:
Salaf ka qawl: Jisne Allah ki ibaadat bagair ilm ke kiya, uska faidah kam nuqsaan zyada hoga.

Teesra mas'ala:

3. Dawat:
Ulama hi dawat dene ke asal haqdaar hain.
Bagair ilm ke dawat mumkin nahi.

-- Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment