Friday, 19 August 2016

Usool ath thalathah (The Three Fundamentals) - Dars-2


Download Dars-2 (4 MB)
Dars conducted on: 9th March 2016

Dars Highlights

Ilm/idraak ke 6 maraatib:

1. Ilm
2. Jahl baseet
3. Jahl murakkab
4. Shakk
5. Zann
6. Waham

Chaar masaail jinko janna zaroori hai:

Pehla mas'ala:

1. Ilm haasil karna: Allah ki maa'rifat, uske Nabi ki maa'rifat aur uske deen ki maa'rifat daleel ke saath.

Ilm ke bagair Allah taa'la par imaan lana mumkin nahi

Allah ka ilm kaise ho?

A. Anfus ki nishaniyaan, apni zaat/nafs par gaur o fikr kare

B. Aafaaqi nishaniyaan, jaise chaand, sitare, pahad, samandar, din, raat par gaur o fikr kare

C. Shar'ee nishaniyaan, jaise kitabullah, Ambiya, deen

Allah ki Maa'rifat ka maa'na:
Aisi maarifat jo bande ko uske rabb ke samne jhukne aur uske hukm ke mutaabiq amal karne par majboor kar de.

Nabi ki maa'rifat ka maa'na:
Aisi maa'rifat jo insaan ko nabi ke laye hue shari'at par amal karne par majboor kar de.


-- Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment