Dars Highlights:
Download Dars-2 (MP3 Format)
Download Dars-2 (Original Recording)
Dars conducted on: 21st January 2015
POINT NO.1 (contd.)
"Ilm Ibaadat hai..."
Ikhlaas ke mukhaalif cheezein:
Riyaa (lafz ruyat se, jiske maane hain dikhawa) ya suma'aat (lafz sama'a se jiske maane hain sunana) - koi kaam kisi ko dikhane ke liye ya sunane ke liye kiya jaye.
Riya ke 2 qisme hain:
A. Riya ash-shirk: Aisa riya jisme Allah ko raazi karna aur logo ko dikhana dono maqsad ho.
B. Riya al-ikhlaas: Aisa riya jisme sirf logo ko dikhana ya sunana hi maqsad ho.
Salaf ke kuch aqwaal:
1. Sufyaan as thawri: Mujhe Allah ke taraf se quran ka faham diya gaya tha, jab se maine surra (thaila) qubool kiya ye ilm Allah ne mujhse cheen liya.
2. Sufyaan as thawri: Mera muqaabla jitna apni niyyat se hui hai utna kisi se nahi hua.
B. Ibaadat ki doosri shart -- Allah aur uske rasool sallalahu alaihi wasallam se haqeeqi mohabbat kare, aur ye pata chalega jab ham Allah ke rasool ki sunnat ki ittebaa karenge aur unke siwa kisi aur ko masoom nahi samjhenge.
Yahan mohabbat sabse oonchi darje wali mohabbat muraad hai.
POINT NO.2:
"Salaf e saaliheen ke raaste aur naqshe qadam par rah karke ilm haasil karo, salafi bano كن سلفيا علي الجادة"
Mafhoom: Deen ke tamaam abwaab me salaf e saaliheen ke naqshe qadam par chale, nabi ke sunnato ko apne upar naafis kare, jhagada na kare, ilm e kalaam me na pade etc.
Hafidh adh-dhahabi Imaam Daarqutni ke baare me farmate hain: Imaam Daarqutni ke nazdeek ilm e kalaam se buri cheez kuch nahi thi, woh kabhi bhi isme nahi pade, balki woh salafi the.
-- Majalisul-ilm Admin
No comments:
Post a Comment