Dars Highlights:
Download Dars-3 (MP3 Format)
Download Dars-3 (Original Recording)
Dars conducted on: 28th January 2015
POINT NO.3:
"Taalib e ilm hamesha Allah ki khashiyat ko laazim pakde."
Khauf aur Khashiyat me farq:
Khauf: Woh darr jisme yed zaroori nahi ki jisse dara ja raha hai woh unche maqaam aur haisiyat wala ho. Ye aam darr hai. E.g. sher se darna, samaj ke kisi bure insaan se darna.
Khashiyat: Woh darr, jo kisi ke sharr, buraai se nahi dara ja raha hai balki uski azmat aur ooncha maqaam ke wajqh se dara ja raha ho.
Aayat: "Beshak allah se haqeeqat me darne wale ulama hi hain."
Is aayat me do baatien hain:
A. Khabar - Allah se darne wale ulama hi hain
B. Paigham - Ulama ko Allah se khaskar darna chahiye
Allah ki khashiyat ek taalib e ilm ki zindagi ha hissa ban jana chahiye.
Salaf ke aqwaal:
Imam Ahmad bin Hanbal rahimahullah: Asal ilm toh Allah se darna hi hai.
Imam khateeb al baghdadi:
Ali r.a kehte hain - Ilm amal ko aawaz deta hain. Agar amal labbaik kehta hai toh ilm baaki rehta hai nahi toh ilm chala jata hai.
POINT NO. 4:
"Hamesha ye tasawwur rahe ki Allah hame dekh (muraaqbah) raha hai."
"Muraaqbah" ka maa'na:
Galat maa'na-- Buzurgo ya ambiya ke qabron ke paas baithne se ilm haasil ho jayega.
Saheeh maa'na-- Allah ka hame hamesha dekhna, Allah being ever-watchful
POINT NO. 5:
"Taalib e ilm ko chahiye ki apne baazu past rakhe, khoyala aur takabbur se kaam na le."
Maa'na: Apne andar narmi ikhtiyaar karen, logo se narmi aur shafqat ka izhaar karen. Apne akhlaaq me takabbur ya guroor ka muzaahra na karen.
Khoyala aur takabbur me farq:
Khoyla-- Aisa badappan/akadd jiska asar insaan ke shakal ya jism par zaahir ho.
Takabbur-- Apne maal, ohada, nasab etc...par ghamand kare ya apne ko bada zaahir kare.
Kibr/Takabbur ka definition:
Hadith: Allah ke rasool ke farmaan ka mafhoom, "Asal takabbur kehte hain haqq aa jane ke baad uska inkaar kar dena aur logo ko haqeer/kamtar samajhna."
Allah ki nafarmani sabse pehle 3 cheezo se ki gayi:
A. Takabbur (Pride)
B. Lalach (Greed)
C. Hasad (Jealousy)
-- Majalisul-ilm Admin
No comments:
Post a Comment