Thursday, 29 October 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-4


Dars Highlights:

Download Dars-4 (MP3 Format)

Download Dars-4 (Original Recording)


Dars conducted on: 04th February 2015

POINT NO. 6:

"Taalib e ilm apne andar zuhd aur qanaa'at paida kare"

Zuhd ka lafzi maa'na - kisi cheez me dilchaspi/ interest/ raghbat nahi rakhna.

Zuhd ka sharee' maa'na- Duniya aur duniya ke rangeeni se raghbat na rakhna aur tamaam haraam cheezo se bachna.

Qanaa'at (contentment) ka maa'na:

Imam Shanqeeti rahimahullah (Musannif: Adwa al bayaan fee tafseer quran al kareem bil quran) Jo bhi Allah taa'la ne diya hai usi par raazi aur khush rahna.

POINT NO. 7:

"Taalib e ilm ke andar ilm aur majlis e ilm ki raunak paida honi chahiye"

Imam Ibn Sireen rahimahullah: "Woh log (salaf) ilm haasil karne se pehle hadiy (taur tareeqa, ilm ki raunak, ilm haasil karne ka jazba, akhlaaq etc.) haasil karte the."

Ilm ki raunak paida karne ka mafhoom: Fazool kaam na kare, fazool baatien na kare, majlis e ilm me betuki harkat na kare, zor zor se na hase, bahut zyada jaaiz mazaak bhi na kare etc..

Ahnaf bin Qais radhiallahu anhu:

"Hamare majaalis ko aurato ke zikr aur khane peene, pet ke zikr se paak rakho kyonki mujhe aisa aadmi bilkul pasand nahi jo apni besharmi aur pet ka zikr karne me mashgool rahta hai."


-- Majalisul-ilm Admin

No comments:

Post a Comment