Dars Highlights:
Download Dars-5 (MP3 Format)
Download Dars-5 (Original Recording)
Dars conducted on: 04th February 2015
POINT NO.8:
"Taalib e ilm ko adab aur muru'at wala hona chahiye"
Muru'at ka asal maana: Mar'a lafz se bana hai jiska maana hai insaaniyyat.
Taalib e ilm har woh acche kaam kare jo use khoobsurat, taa'reef wala banaye aur aise cheezon se bache jo use aibdaar banata hai. Agar aisa kaam kare toh use muru'at wala insaan kaha jayega.
POINT NO.9:
"Taalib e ilm ko mardana khoobiyon se aarasta hona chahiye."
Mafhoom: Jahan haq baat kehne ki zaroorat pesh aaye, toh bagair kisi dar ya jhijak ke haq baat kah di jaye. Isme dileri, himmat jurrat ki sifat payi jani chahiye. Saath hi saath achhe akhlaaq aur oncha kirdaar wala hona chahiye, buzdili, be-sabrapan nahi payi jani chahiye.
POINT NO. 10:
"Taalib e ilm ko bahut zyada khush-hali, ba-nemat aur aish o aaraam ikhtiyaar nahi karni chahiye."
Agar che ye cheeze haraam nahi hai magar ek taalibe ilm ko apni zindagi me in cheezo ko bahut zyada istemaal se bachna chahiye.
Hadith: "Bazaazaah" emaan me se hai.
"Bazaazaah" ka maana: Darmiyana rawi ikhtiyaar karna, kam cheezo me iktifaa karna aur usi par sabr karna, aish o aaraam ki talaash me na rehna.
Hadith: Allah ke nabi ne bahut zyada naaz o nemat aur mayaar (standard) pan ikhtiyaar karne se mana farmaya hai.
Hadith: Kabhi kabhaar bina chappal jute ke bhi chal liya karo.
Umar farooq Abu musa ashari radhi allahu anhuma se kehte hain: Bahut zyada nemat wali zindagi se bachna, ajam (non-arab) ke lifestyle/zindagi ko na apnana.
Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: "Maad ibn Adnaan jaise zindagi apnao". Yaani bahut zyada saadgi wale taur tareeqe apnao.
Umar farooq: "Main ek aalim/taalib e ilm ko dekhna chahta hoon ki woh safed libaas me rahe."
Ibn uthaimeen rahimahullah: "Baut zyada aish o aaraam, naaz o nemat mu'annas pan (Feminity) paida karta hai."
-- Majalisul-ilm Admin
No comments:
Post a Comment