Download Dars-34 (MP3 Format)
Download Dars-34 (Original Recording)
Dars conducted on: 11th November 2015
Dars Highlights:
66 HILIYAH POINTS
Fasl 1: Taalibe ilm ki zaati khususiyaat
1. Ilm ibaadat hai
2. Salaf e saaliheen ke naqshe qadam par rahkar ilm haasil karo, salafi bano
3. Taalibe ilm hamesha Allah ki khashiyat ko laazim pakde
4. Hamesha ye tasawwur rahe ki Allah tumhe dekh raha hai
5. Baazu past rakhna, guroor o takabbur aur badappan se ijtinaab karna
6. Qanaa’at and duniya se be-raghbati
7. Ilm ki raunak se muzayyan hona
8. Muroo’at se aaraasta hona
9. Mardana sifaat se lutf-andoz hona
10. Naaz o ne’mat aur aish o ishrat se ijtinaab
11. Lagw aur fuzool majlison se ijtinaab
12. Gupshup aur shor o shugab se aeraaz
13. Narmi
14. Gaur o fikr
15. Saabit qadmi, sabr o zabt aur jafaakashi
Fasl 2: Ilm haasil karne ka tareeqa
16. Talab e ilm ki kaifiyat aur uske maraatib
17. Mashaaykh se ilm haasil karna
Fasl 3: Taalibe ilm ka apbe shaykh ke saath sulook
18. Ustaadh ka adab o ehtaraam
19. Aye taalibe ilm tera ustaadh hi tera asal sarmaaya hai
20. Dars me shaykh ki nishaat aur chusti
21. Dars o muzaakra ki haalat me shaykh ki batein likhna
22. Mubtadi’ se ilm haasil karna
Fasl 4: Taalibe ilm ka sohbat kaisa ho
23. Bure saathi se bacho
Fasl 5: Taalibe ilm ki ilmi zindagi
24. Ilm me buland himmati
25. Talab e ilm ki hadd darja justajoo
26. Hussol e ilm ke liye safar
27. Ilm ki tahreeri hifaazat
28. Ilm ko bataur e riyayat aur dekh bhaal aur hifz karna
29. Yaad-daasht ki mustaqil nigehdaasht
30. Usool par furoo’ ke istimbaat ke zariye tafaqqo
31. Husool e ilm me Allah taa’la se lau lagana
32. Ilmi amaanat
33. Sachhai
34. Taalibe ilm ka dhaal “Laa adri”
35. Apne raa’s ul maal (umar ke lamhaat) ki hifaazat
36. Nafs ki raahat risaani
37. Taalibe ilm ko chahiye ki alag se kuch badi kitabo ka bhi zaati mutaa’la kare
38. Taalibe ilm jab koi kitaab padhe toh usme nishaanaat bhi lagaye
39. Taalibe ilm ko chahiye ki kisi mas’la ka ilm na ho toh bahut hi adab o ehtaraam sawal pooche
40. Bilaa jhagada aur takraao munaazrah
41. Ilmi muzaakrah
42. Taalibe ilm kitab o sunnat aur uske uloom ke darmiyaan zindagi basar karta hai
43. Har fann ke asbaab o wasaail ki takmeel
Fasl 6: Ilm par amal karke apne aapko muzayyan karna
44. Ilm e naafe’ ki alaamatein
a. Ilm e naafe’ ke mutabiq amal
b. Tazkiya, taareef, aur Allah ke bando par takabbur aur bartari ki karaahat
c. Jis qadr aapko ilm zyada ho aapka tawaazo bhi badhta jayega
d. Sardari, shohrat aur duniya se faraar
e. Dawah e ilm ka boycott
f. Apni zaat ke saath badgumaani aur logo par taa’n o tashanee’ se bachte hue unke saath nek gumaan
45. Ilm ki zakaat
46. Ulama ki izzat o sharaafat
47. Ilm ki hifaazat
48. Mudaahanat (beja tassahil aur narmi) ke bajaye rawaadaari
49. Kitabo ka shugaf
50. Tumhari library ki assaas aur buniyaad
51. Kitaab ke saath taa’ammul
52. Agar aapko koi kitaab mile toh use apne library me us waqt tak daakhil na karen jab tak use achhi tarah guzar na jayen ya uska muqaddama ya fehrist aur kuch jagaho se na padh len
53. Tahreer par aeraab aur nuqton ka ehtamaam
Fasl 7: Tambeehaat
54. Bedaari ka khwaab
55. Abu shibr (ek baalisht wala) hone se bacho
56. Ahliyyat aur qaabliyat se pehle sadaarat
57. Ilmi darindagi
58. Kaagaz siyaah karna
59. Aapse beshtar ulama ki chook par aapka mauqif
60. Shubahaat ka difaa’
61. Zabaan aur bayaan ki galtiyon se bacho
62. Fikri napukhtagi
63. Jaded israa’eeliyaat
64. Byzantinian bahas o mubaahasa se ehtaraaz karo
65. Koi girohbandi ya hizbiyyat nahi hai jiski buniyad par al-walaa wal-baraa’ (dosti aur dushmani) qaayam ki jaye
66. Is hiliya (zewar) ke nawaaqiz:
a. Raaz faash karna
b. Ek qaum ki baat doosro tak muntaqil karna
c. Deeng marna aur charb zabaani karna
d. Kasrat e mazaah
e. Do logo ki guftagu me daakhil hona
f. Keena kapat
g. Hasad
h. Badgumaani
i. Bid’atiyon ke ham-nasheeni
j. Haraam umoor ki taraf qadam badhana
-- Majalisulilm Admin
Note: Dars 33 me Points No. 65 aur 66 cover hua hai jiska recording nahi ho paya!
Dars conducted on: 04th November 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 65
"Hizbiyyat aur firqabandi ke buniyaad par koi walaa (dosti) aur baraa' (dushmani) nahi honi chahiye."
POINT NO. 66
"Woh chezein jo is hiliya ko tod deti hain:
- Raaz ki baton ko aam kar dena
- Mukhtalif giroho me afwaahein phailana
- Jhoota fakhr karna aur jhoot bolna
- Bahut zyada mazaak karna
- Logo ke baatcheet ke dauraan tokna
- Doosro ko takleef pahuchana
- Hasad karna
- Bad-gumaani
- Mubtadi ke saath baithna
- Haraam cheezo ki taraf badhna
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-32 (MP3 Format)
Download Dars-32 (Original Recording)
Dars conducted on: 28th October 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 60
"Taalibe ilm ko chahiye ki shubahaat/fitnah se apne aap ko bachaye."
Taalibe ilm apne ko, apne ahle khana aur qareebi walo ko bhi fitno se bachaye. Apne dil ko sponge ki tarah na bana le ki jo kuch aaye use andar le le.
Sabse zyada shubahaat ko phailane wale, prachaar karne wale hammaalatul hatab (bahut zyada lakdi uthane wala/wali) hote hain. Yaani woh log jo har cheez ko qubool kar lete hain jo ki ahle bid'at hain.
POINT NO. 61
"Lahan (sareeh galti) se bacho."
Taalibe ilm bolne me, likhne me lahan se bache.
Umar Farooq radhi allahu anhu farmate hain: Arabi zabaan seekho kyonki isse muru'at badhti hai
POINT NO. 62
"Taalibe ilm ko ijhaabal fikri (fikr ka abortion, kisi baat ki tasdeeq aur tahqeeq kiye bagair phailana) se bachna chahiye."
POINT NO. 63
"Nayi israa'eliyaat se bacho."
Nayi israa'eliyaat se muraad aajkal ke yahoodi aur nasraaniyon ke waaqiyaat, fikr aur soch hai.
POINT NO. 64
"Byzantine jhagde, bahas o mubaahasa se apne aap ko bachao."
Be faaidah aur fuzool bahas o mubaahasa me taalibe ilm ko nahi padna chahiye
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-31 (MP3 Format)
Download Dars-31 (Original Recording)
Dars conducted on: 21st October 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 56
"Ahliyyat aur qaabliyyat se pehle kisi cheez ka ahl ho jana, is cheez ki koshish taalibe ilm ko nahi karni chahiye."
Sadaarat qaabliyyat ke baad hoti hai
Aisa karna ilm aur amal ke liye musibat hai
Jo waqt se pehle aage badhne ki koshish karta hai woh apne aap ko zaleel karta hai.
POINT NO. 57
"Ilm ke zariye apne aap ko sher/cheeta (namr) zaahir karna, ilm ke mamle me apne aap ko bada batana."
Taalibe ilm apne hasiyyat se hatkar doosre libaas na pehne (badh chadh kar apne aap ko pesh na kare).
POINT NO. 58
"Safahaat ko syaah karna, bahut kuch likhna magar usme koi wazan na ho, koi ilmi baat na ho."
Taalibe ilm bina wajah, be-maqsad qalam na uthaye. Salaahiyyat aur pukhtagi haasil hone se pehle agar likhe toh dar-asal ye apne aibdaar hone ki daleel ho jayegi.
Khateeb al Baghdadi rahimahullah farmate hain: “Jisne kisi kitab ki tasneef ki, goya usne apni aqal ko ek plate me rakh kar duniya ke saamne pesh kiya.”
POINT NO. 59
"Taalibe ilm ko agar kisi aalim ki koi galti mil jaye toh unki be-izzati karne ke liye khush nahi hona chahiye balki mas'le ki islaah karne ke liye Allah ka shukr ada karna chahiye."
Aalim ki galti par unki be-izzati wahi karega jo aalim nahi hoga balki muta'aalim (aalim hone ka dawah karne wala) hoga.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-30 (MP3 Format)
Download Dars-30 (Original Recording)
Dars conducted on: 14th October 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 51 (Contd.)
Taalibe ilm jab koi kitab padhna shuru kare toh uska muqaddimah, preface etc. zaroor padhe taaki mu'allif ke istelaahaat ka pata chal jaye.
POINT NO. 52
"Taalibe ilm kisi kitab ko khareedna chahe ya apne library me shamil karna chahe toh pehle sarsari taur par us kitab ko padh le ya kam se kam fehrist dekh le."
POINT NO. 53
"Taalibe ilm jab kuch likhna chahe toh saaf saaf likhe taaki baad me padhne me koi shubha na ho, ya koi aisa naam se guzre jiska talaffuz aur maa'na kuch khaas ho toh use bhi saaf saaf likhe."
Jaise عقيل lafz jo dar-asal 'uqail hai use 'aqeel padh liya jaye toh galat ho jayega.
Is tarah ke confusion se bachne ke liye in baton ka khyaal rakhen:
- Saaf handwriting me likhe
- Likhne ke qaaide ki riyaayat kare (isse mutalliq kitab hai jaise Kitab ul Imlaa)
- Nukte wale hurf par mu'jam likhe aur bagair nukte wale hurf par muhmal likhe.
- Baaz alfaaz ke akheer me aeraab laga di jaye, aur baaz huroof par bhi aeraab lagaya jaye
- Ayat ya hadeeth me punctuation marks ('Alaamaatul tarteen)
POINT NO. 54
"Jaagte hue khwaab dekhne se bacho."
Maa'na: Jis cheez ka ilm na ho us ilm ka dawah na kare. Lekin agar aisa kiye toh apne aur ilm ke beech bahut badi rukawat aa jayegi.
POINT NO. 55
"Abu shibr (ek baalisht wala) banne se apne ko bachana."
Ilm 3 baalisht hai:
- Jo pehle baalisht me hota hai woh takabbur karta hai
- Jo doosre baalisht me daakhil hota hai woh tawaazo, inkesaari karta hai
- Aur jo teesre baalisht me daakhil hota hai use pata chalta hai ki abhi usne kuch bhi nahi seekha.
-- Majalisulilm Admin.
Download Dars-29 (MP3 Format)
Download Dars-29 (Original Recording)
Dars conducted on: 23rd September 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 49 (Contd.)
Taalibe ilm kitabo ko chunne me aur khareedne ke mamle me inteqaa (bahut zyada chaan been) kare.
Kitabo ka intekhab karne me in baton ka khyaal rakhe:
- Sabse pehle usool ki kitaben jo buniyaad hai jaise usool at tafseer, usool al hadith, usool al aqeedah etc. ko chuna jaye
- Ahle bid'at ki kitabein, gair mo'tabar kitabein apne personal library me kabhi na rakhe
- Bade level ki library me doosre deen ki kitabein bataur research rakhi ja sakti hain
- Mas'la masaail ki kitabein, istidlaal ki kitabein aur ahkaam, halaal o haraam ke kitabein bhi rakhe, in kitabo me sabse awwal shaykhayn (Imaam Ibn Taymiyyah aur Imaam Ibn Qayyim rahimahullah) ki kitabein hain
POINT NO. 50
"Taalibe ilm ko chahiye ki dalaail wali kitabein, ahkaam o masaail ki kitabein apne library me rakhe, jaise..."
- Hafiz Ibn abdul bar ki At-Tamheed
- Ibn quddama ki al-mughni
- Imaam Nawawi ki al-majmoo', Riyadhus saaliheen, Arbaeen an nawawi
- Hafiz Dhahabi
- Hafiz Ibn Rajab al hanbali
- Hafiz Ibn Hajr ki fath ul bari
- Hafiz Ibn Kathir ki tafseer ibn kathir
- Imaam Shawkani ki Nayn al awtaar (sharah al muntaqa)
- Imaam Muhammad ibn abdul wahaab at tamimi ki kitab at tawheed
- Imaam Sanaa'ni ki Subul as salaam (sharah bulughul maraam)
- Allama Siddeeq hasan khan al kannoji
- Allama Muhammad amin ash shinqeeti ki tafseer adwa al bayaan
POINT NO. 51
"Taalibe ilm ko chahiye ki kitab se faidah uthane se pehle mu'allif ke tareeqe bayaan, uska manhaj, kitaab ka unwaan, muqaddimah etc. ki jaankaari haasil kar le."
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-28 (MP3 Format)
Download Dars-28 (Original Recording)
Dars conducted on: 16th September 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 48
"Taalibe ilm ke andar Mubaaraat (Rawaadaari) ki sifat paida honi chahiye."
Shiddat pasand na ho, mudaahanat (hadd se zyada tasaahul, narmi) na ho.
Salaf ka qawl: “Jo shakhs rukhsat talaash karta hai, woh faasiq ho jata hai, aur sirf rukhsat talaash kare woh zindeeq ho jata hai.”
POINT NO. 49
"Kitabo ka bahut zyada shaukeen hona chahiye."
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-27 (MP3 Format)
Download Dars-27 (Original Recording)
Dars conducted on: 09th September 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 46
"Taalibe ilm apne Ulama e kiraam ki khuddari ki sifat apne andar paida kare."
Khuddaari ka maana: Ilm ki hifaazat karna, mukhtalif qism ki milawat se ilm ko mahfooz rakhna aur ilm ke azmat aur taazeem ko zaahir karna.
Shaykh Bakr Abu Zayd rahimahullah farmate hain: “Jitna zyada ilm haasil karenge aur jitna zyada us ilm par amal karenge, utna zyada ilm ki azmat hogi.”
Ahle ilm agar ilm ki hifaazat karte, toh ilm bhi ahle ilm ki hifaazat karta.
POINT NO. 47
"Ilm ki hifaazat karna, ilm ko maintain karna."
Ilm ki hifaazat uspar amal karne me hai.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-26 (MP3 Format)
Download Dars-26 (Original Recording)
Dars conducted on: 02nd September 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 43
“Taalibe ilm ko chahiye ki har subject/fann ke saath uske zimni fann (aalaat, mutaalliqa) ke ilm se bhi aaraasta ho.”
POINT NO. 44
Ilm e naafi ki 6 nishaaniyan:
- Ilm ke mutabiq amal kiya jaye
- Apni tareef, taqwa aur buzurgi bayaan karne se bache, Makhluqaat se bade hone ka dawah karne se nafrat ho, takabbur na ho
- Jitna zyada ilm wala hoga utna hi mutawaaze (jukhao) bhi hoga, Salaf ka qawl: Ilm ek darakht ki tarah hai aur uska phal amal hai aur jitna zyada phal hoga utna hi jhuka hoga.
- Riyasat, uhada, mansab aur sardari se mohabbat na ho
- Ilm ka dawah na kare
- Ilm wala khush gumani me nahi rahega aur na hi doosre ke silsile me bad gumani rakhta hai, albatta apne silsile be soo e zann rakhe aur doosre ke silsile me hamesha husn e zann rakhe.
POINT NO. 45
"Ilm haasil karo toh ilm ka zakaat bhi nikalo."
Ilm ka zakaat nikalne se muraad us ilm e haqq ka elaan karna, bhalai ka hukm dena aur buraai se rokna hai.
Abu hurairah radhiallahu anhu ki hadees jisme Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Insan ke marne ke baad 3 cheezo se faida hote rehta hai:
- Sadaqa jaariya se faida
- Ilm e naafi se faida
- Aulaad ki dua se faida
Imam Khateeb Baghdadi rahimahullah farmate hain: “Ye teeno cheeze ek aalim hi ke andar paya jata hai.”
Ilm ko jitna zyada kharch kiya jaye, utna hi zyada badhta hai.
Ek aham naseehat:
Agar zamaane, mahaul ki buraai ka hawala dekar ilm ki tableegh band kar de toh dushman buraai aur fahaashi phailane ke liye surkh sona lutayenge.
Isliye zamaana kaisa bhi ho, dawat o tableegh ko jaari rakha jaye.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-25 (MP3 Format)
Download Dars-25 (Original Recording)
Dars conducted on: 26th August 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 40
“Taalibe ilm ko chahiye ki bina kisi jhagda, takraar ke ilmi munaazra kare.”
Jhagda aur takraao se bachne ki koshish karni chahiye.
Munaazra kehte hai dil o dimaag se kisi masle par gaur o fikr karna.
Haqq ke maamle me munaazra karna Allah ke taraf se nemat hai kyonki munaare se haqq ko baatil par galba kiya jata hai.
Munaazra haqq aur baatil, tawheed aur shirk, sunnat aur bidat, kufr aur islam, rajeh aur marjooh (jhuka aur utha hua) me hota hai.
Haqq Munaazra in cheezo par mabni hota hai:
- Khairkhaai
- Sabr
- Ilm ki nashr o ishaat
Baatil munaazra in cheezo par mabni hoti hai:
- Riyaakari
- Tahajjuj (baatil par ad jana aur uski daleel nikaalna)
- Naadano wali harqat karna
- Jhagda aur nafrat
Taalibe ilm ko chahiye ki aise baatil munaazre se aur aise munaazre karne walo se bache aur door rahe.
POINT NO. 41
“Taalibe ilm ki ilmi zindagi me Ilmi muzaakra (ilmi zikr) honi chahiye.”
Ulama aur ahle ilm ke saath ilmi muzaakra kare kyonki basaa auqaat taalibe ilm aisi cheeze seekh leta hai jo bahut hi mufeed hoti hai jo kitabo me nahi milti.
POINT NO. 42
“Taalibe ilm kitaab o sunnat aur uske uloom ke darmiyaan zindagi basar karta hain”
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-24 (MP3 Format)
Download Dars-24 (Original Recording)
Dars conducted on: 19th August 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 36
“Ilm haasil karne me nafs ko thoda raahat diya jaye.”
Taalib e ilm Ilm haasil karne me mayaanarawi aur aitedaal ka raasta apnaye, iski daleel sahih bukhari ki hadees jisme teen sahabi amma Aisha radhiallahu anha ke paas Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ke aamaal ke bare me poochne ke liye aaye the, toh Allah ke rasool ne unko mayaanarawi k taleem di.
POINT NO. 37
“Taalib e ilm ko chahiye ki alag se kuch badi kitabon ka zaati mutaala bhi kare.”
Is tarah ke mutaale se mazeed maalumaat ke saath saath musannif ke kitaab likhne ka tareeqa, uska manhaj bhi samajh me aayega.
POINT NO. 38
“Hamaare salaf jab ilm haasil karte toh kitaab ka koi hissa padhne ke baad nishaan laga dete the, lihaza taalib e ilm ko bhi nishaanaat istemaal karni chahiye.”
POINT NO. 39
“Taalib e ilm ko chahiye ki kisi mas'ale ka ilm na ho toh bahut hi adab o ehteraam aur sahi tareeqe se awaal pooche.”
Sawaal ka jawaab achhe se sune aur jawab milne ke baad ye na kahe ki fulaan aalim ne iska jawab kuch aur diya hai. Aise kehne par alhe ilm me takraao ke imkaanaat hain, lihaza aisa nahi bolna chahiye.
Ustaadh ka imtehaan ke liye sawal karna bhi talab e lim ke aadaab ke khilaaf hai.
Ibn Qayyim rahimahullah farmate hain, Ilm haasil karne ke 6 darje hain:
- Bahut hi adab o ehteraam se sawaal kare.
- Khamosh rehkar jawab ko gaur se sune.
- Achhi tarah se jawab ko samajhe
- Jawab ko achhi tarah se yaad kar le
- Us ilm ki taaleem de
- Us ilm ki mutaabiq amal kare.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-23 (MP3 Format)
Download Dars-23 (Original Recording)
Dars conducted on: 12th August 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 34
“Taalib e ilm ka dhaal (galti me pad jane se, galat mas'ala bata dene se, halaal ko haraam aur haraam ko halaal bata dene se etc.) ‘laa adri’ (main nahi janta) hai.”
Taalib e ilm ko chahiye ki agar kisi mas'ale ka ilm na ho toh ye kehne me hichkichaye nahi ki "Main nahi janta".
Salaf ka qawl: "Ye keh dena ki " main nahi janta" aadha ilm hai."
POINT NO. 35
“Taalib e ilm ko hamesha is baat ki fikr honi chahiye ki uska waqt kaise guzar raha hai. Apne waqt ko zaaya na kare.”
Kaam ko mustaqbil ke liye taal dena (Procrastination) isse bachna chahiye, balki us kaam ko usi waqt kar liya kare.
Taalib e ilm ko chahiye ki Uktaahat aur thakaawat se ubharne ke liye kabhi kabhi kuch aisi cheeze bhi padhe jo raahat pahunchaye, jo aaramdayak aur mufeed bhi ho jaise hikmat ke lateefe, general knowledge, Ibn Qayyim ki Al-Fawaaid etc.)
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-22 (MP3 Format)
Download Dars-22 (Original Recording)
Dars conducted on: 05th August 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 33 (Contd.)
Sabse bada sachhai Allah ki tawheed hai aur sabse bada jhoot Allah ke saath shirk hai.
Shaykh Bakr Abu Zayd rahimahullah farmate hain:
• Sidq waqaar ki pehchaan aur alaamat hai
• Baatin ka aaina hai
• Himmat ki balandi hai
• Insaani aql ki pukhtagi ki pehchaan hai
• Makhlooq ke saath mohabbat badhane ka zariya hai
• Ijtimaayiat, society me aman ka zariya hai
• Deen ki hifazat ki zamaanat hai.
• Is liye sach bolna aur sach ko laazim pakadna fard e ain hai.
Imam Awzaai rahimahullah farmate hain: "Aye taalib e ilm, ilm haasil karne se pehle sachhai seekho."
Imam Waqee' rahimahullah farmate hain: "Deen ke ilm me wahi aadmi balandi tak pahunch sakta hai jo sachha ho."
Sachhai ka definition:
Koi baat kehna is taur par ki woh soch/aqeede ke aitebaar se aur haqeeqat ke aitebaar se muwafiq aur mutabiq ho.
Sachhai sirf ek hai, jhoot ki bahut si qisme hain. Jhoot ko samajhne ke liye uski 3 qisme bayaan ki gai hain:
- Chaaploosi karne wale ka jhoot, ye soch/aqeedah aur haqeeqat dono ke khilaaf hota hai.
- Munaafiq ka jhoot, ye aqeede ke khilaaf hota hai aur haqeeqat ke mutabiq hota hai.
- Baddimag, bad aqal ka jhoot, ye aqeede ke mutabiq aur haqeeqat ke khilaaf hota hai.
Tauriya ka maana: Kisi khaas maqsad ya maslehat ke peshe nazar haqeeqat ke khilaaf baat karna.
Taalib e ilm tauriya ka istemaal na kare.
Sabse badtareen jhoot, ilm ka jhoot hai.
Jhoot bolne ke nuqsaanaat:
- Logo ke dilo me aitemaad khatm ho jayega
- Uska ilm chala jayega aur maqbooliyat dheere dheere khatm ho jayega
- Sach bhi bolne par qubool nahi kiya jayega.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-21 (MP3 Format)
Download Dars-21 (Original Recording)
Dars conducted on: 03rd June 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 32
“Taalib e ilm ko ilm ke maamle me amaanatdaar hona chahiye.”
Shaykh Bakr Abu Zayd farmate hain: "Ummat ki kaamyaabi nek amal me hai, aur nek amal ki buniyaad durust ilm me hai, aur durust ilm ki buniyaad ummat (khaas taur pe ulama, talaba) ke amaanatdaar hone me hai.”
Taalib e ilm apne ilm ke talluq se bhi amaanatdaar rahe, jitna seekhe, use yaad rakhe, uspar amal kare aur usko waise hi aage dusro tak pahunchaye.
Salaf ka ek qawl:
"Jab ummat me amaanatdaari mawjood thi, ham Allah ke nabi ki ahadees ko bagair tahqeeq maan lete the, lekin jab fitne (ikhtilaaf, khawarij etc.) ronama hue toh hadees bayaan karne walo se raaviyon ke naam poochne lage."
POINT NO. 33
“Taalib e ilm ko sachha hona chahiye.”
Sachhai (sidq) ka maana: Kisi cheez ko uske haqeeqi haalat par rakhte hue aage badhana.
Sabse bada sachhai Allah ki tawheed hai. Sachhai neki ki jad hai, aur kizb (jhoot) tamaam buraiyon ka markaz hai. Sabse bada jhoot Allah aur uske rasool par jhoot bolna hai.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-20 (MP3 Format)
Download Dars-20 (Original Recording)
Dars conducted on: 27th May 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 30 (Contd.)
Takhreejul furoo' alal usool: Usool se furoo'i masaail ka istimbaat karna.
Taalib e ilm ko chahiye ki koi hadees sune toh use apne tak mahdood na rakhe, use doosre taalib e ilm ya saathiyon tak pahunchaye, kyonki mumkin hai ki doosra sunne wala zyada achha masaail ka istimbaat kar sake.
Shaykh Bakr Abu Zayd rahimahullah farmate hain:
"Masaail ke istimbaat ke liye Allama Ibn Taymiyyah aur Allama Ibn Qayyim rahimahumullah ki kitabo ka muta'ala kare."
POINT NO. 31
“Taalibe ilm ko chahiye ki talab e ilm ki raah me apna taalluq Allah se jode rakhe, Allah hi se lau lagaye aur achhi samajh aur istiqaamat ke liye musalsal dua karte rahe.”
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-19 (MP3 Format)
Download Dars-19 (Original Recording)
Dars conducted on: 20th May 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 28
“Hifz ur riyayah: Deen ke ilm ko mahaz riwayati taur par na seekhe balki riyayat kare yaani us ilm ki dekh rekh honi chahiye aur apni zindagi me usko naafis kare.”
Taalibe ilm ko chahiye ki uski zindagi aawaam ki zindagi se hatkar ho.
POINT NO. 29
“Taalibe ilm ko chahiye ki seekhe hue ilm ko revise karta rahe. Iske liye us ilm ko apni zindagi me practically naafis kare.”
E.g. Imam Ahmad rahimahullah ne Allah ke nabi sallallahu alaihi wasallam ki sunnat ki itteba karte hue pachna (Hijamah) lagane wale ko dhoond kar pachna lagaya aur usko ujrat bhi di.
Haafiz Ibn Abdul Barr rahimahullah kehte hain: Allah ke nabi ke zamaane me ilm quraan ke ilm ko hi kaha jata tha, isliye jo quran ke ilm ko na dohraye toh sab ilm bhool jayega.
POINT NO. 30
“Taalibe ilm ko chahiye ki apne seekhe hue buniyadi ilm se naye masle ka hal dhoond le, jaise sharaab ke hurmat ka ilm ke buniyaad par doosre nasheeli cheezo ka halaal aur haraam hona pehchaan le.”
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-18 (MP3 Format)
Download Dars-18 (Original Recording)
Dars conducted on: 13th May 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 24
"Ilm haasil karne ke liye himmat aur hausla bahut zaruri hai."
Al-Himmah (himmat) ka maa'na: Bahut pakka azm aur iraadah, bahut zyada fikr aur baland soch rakhne wala.
POINT NO. 25
"Taalibe ilm ko ilm haasil karne ke liye bahut zyada laalchi (khwahish) hona chahiye."
Ali ibn Abi Taalib farmate hain: Jis cheez ko insaan bahut zyada nibhata ho usse us insaan ki qeemat ka pata chalta hai.
POINT NO. 26
"Taalibe ilm ko husoole ilm ke liye safar karna chahiye."
Is nuqte ko samajhne ke liye Al Khateeb al Baghdaadi (rahimahullah) ki kitaab "Ar Rihlaa fee talab al hadees" ka mutaa'la zaroori hai.
Salaf ka qawl: “Jo khud ilm haasil karne ke liye safar na kare, uske paas koi safar karke (ilm haasil karne ke liye) nahi aayega.”
POINT NO. 27
"Taalibe ilm sirf apne hifz par aitamaad na kare balki ilm ko likh bhi liya kare."
Ilm sunne ke baad use note kar liya kare kyonki kuch aham baatein zehan se nikal sakta hai.
Salaf ka tareeqa ye tha ki agar copy nahi milta toh us kitaab par hi likh liya karte jisse padhte the.
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-17 (MP3 Format)
Download Dars-17 (Original Recording)
Dars conducted on: 06th May 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 22 (Contd.)
Shaykh Bakr Abu Zaid farmate hain: Ye sab baatein ahle sunnat wal jamaat ke aqeede ke qawaaid hain.
Imam As-Saaboonee farmate hain: Hamare salaf bidatiyon se bugz rakhte the aur unke majliso me nahi baithte the.
Abdullah Shabig ka waaqiya:
Umar farooq radhi allahu anhu ne Abdullah shabig naami shaksh ko jo mutashaabeh aayaat ke bare me sawal kiya karta tha yemen bhej diya aur wahan ke governer ko hukm diya ki uske paas koi uthe baithe nahi, kyonki us shaksh ka aqeedah khaarji tha.
Khulaasa ye ki hamare Salaf ahle bidat ke saath bahut sakht ravaiyya rakhte the.
POINT NO. 23
“Bure saathiyon aur doston se bacho. Aisa dost banao jo apke nek maqsad me apki madad kare.”
Dost ki 3 qisme:
- Faaide ka dost
- Lazzat ka dost
- Fazeelat aur neki ka dost
Shaykh Bakr farmate hain: "Ham dost banane me apne mayaar ko bahut bareeq rakhe."
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-16 (MP3 Format)
Download Dars-16 (Original Recording)
Dars conducted on: 29th April 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 22 (Contd.)
Bidati se ilm haasil karna:
Shaykh Bakr Abu Zayd farmate hain: “Agar aise ustaadh se padhne ka ittefaaq ho jaye jiske aqeede me khalal ho aur doosra koi ilm haasil karne ka intezaam na ho, toh usko chodna nahi, balki chaukanna rahkar ilm haasil karte rehna. Agar tumne aisa nahi kiya toh tum maidaan chod kar bhaag jane wale me se ho jaoge.”
Abu Abdurrahman Al-Muqri ka waaqiya:
Unhone ek dafa murji se bayaan ki hui hadees dars me bayaan kar di, logo ne aiteraaz kiya toh unhone farmaya: "Maine toh aapko haddi aur gosht dono becha hai."
Iska maa'na: "Maine uska naam lekar tum logo ko ye bhi bata diya ki woh shaksh murjee hai, lihaza uske aqeede se chaukanna rehna aur ilm haasil karne se bachna."
-- Majalisulilm Admin
Download Dars-15 (MP3 Format)
Download Dars-15 (Original Recording)
Dars conducted on: 22nd April 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 22 (Contd.)
Bidati se ilm haasil karna:
Note: Jab bidati se ilm haasil na karne ki baat ho rahi hai toh ye baat dhyaan me rahe ki bidat uske aqeede se talluq rakhta ho na ki uske amal se.
Imam Maalik (wafaat 179 H) rahimahullah farmate hain: 4 tarah ke log se ilm nahi leni chahiye:
- Naadaan, bewkoof aadmi
- Aisa bidati jo apne bidat (aqeede ki bidat) ki taraf daawat deta ho.
- Jo logo se baatcheet me jhoot bolta ho, agarche uska deen ke maamle me jhoot bolna saabit na ho.
- Aisa saaleh, parhezgaar aur nek aadmi jo daleel se bekhabar ho ya deen ke mamle me kamzor ho.
Baaz bidati (aqeedah me) firqe:
khaarjee - Jo aisa aqeedah rakhe ki kabeera gunah karne wala kaafir hai.
Murjee - Jo aisa aqeedah rakhe ki emaan lane ke baad kuch bhi amal kare, use koi nuqsaan nahi hoga.
Qadaree - Jo taqdeer ka inkaar kare, aur aisa aqeedah rakhe ki har insaan ko pura pura ikhtiyaar hai.
Jabaree - Jo aisa aqeedah rakhe ki taqdeer jo Allah ne likh diya hai, uske wajah se insaan puri tarah majboor hai.
Qubooree - Jo Allah ko chod karke qabr me madfoon logo ki pooja kare, unke liye ibaadat ke aamaal sarf kare.
Shaykh Bakr Abu Zayd farmate hain: Jab tak tum bidati se ilm haasil karna nahi chodoge, thos ilm wale ya thos aqeedah wale nahi ban paoge.
Salaf bidatiyon ko be-izzat karna, zaleel aur tauheen karna, unke bidat ko logo ke saamne zaahir karne ko ibaadat samjhe the. Aur na unke saath khate na peete na mashwara karte the, aur baaz salaf bidati ke janaaze me bhi shareek nahi hote the.
Bidat ki 2 qisme hain:
A. Bidat e mufassiqa- aisa bidat jo insaan ko faasiq bana deta hai.
B. Bidat e mukaffirah- aisa bidat jo insaan ko kaafir bana deta hai.
Salaf baidatiyon ko apne majlis se bhagaa dete the.
Allah ke istiwaa ke masle me Imam Maalik rahimahullah ka jawab: "Allah ka istiwaa maaloom hai, aur uski kaifiyyat majhool hai, aur uske kaifiyyat ka sawaal karna bidat hai.
-- Majalisulilm Admin