Friday, 20 November 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-22

Download Dars-22 (MP3 Format)

Download Dars-22 (Original Recording)

Dars conducted on: 05th August 2015

Dars Highlights:

POINT NO. 33 (Contd.)

Sabse bada sachhai Allah ki tawheed hai aur sabse bada jhoot Allah ke saath shirk hai.

Shaykh Bakr Abu Zayd rahimahullah farmate hain:
Sidq waqaar ki pehchaan aur alaamat hai
Baatin ka aaina hai
Himmat ki balandi hai
Insaani aql ki pukhtagi ki pehchaan hai
Makhlooq ke saath mohabbat badhane ka zariya hai
Ijtimaayiat, society me aman ka zariya hai
Deen ki hifazat ki zamaanat hai.
Is liye sach bolna aur sach ko laazim pakadna fard e ain hai.

Imam Awzaai rahimahullah farmate hain: "Aye taalib e ilm, ilm haasil karne se pehle sachhai seekho."

Imam Waqee' rahimahullah farmate hain: "Deen ke ilm me wahi aadmi balandi tak pahunch sakta hai jo sachha ho."

Sachhai ka definition:

Koi baat kehna is taur par ki woh soch/aqeede ke aitebaar se aur haqeeqat ke aitebaar se muwafiq aur mutabiq ho.

Sachhai sirf ek hai, jhoot ki bahut si qisme hain. Jhoot ko samajhne ke liye uski 3 qisme bayaan ki gai hain:

  • Chaaploosi karne wale ka jhoot, ye soch/aqeedah aur haqeeqat dono ke khilaaf hota hai.
  • Munaafiq ka jhoot, ye aqeede ke khilaaf hota hai aur haqeeqat ke mutabiq hota hai.
  • Baddimag, bad aqal ka jhoot, ye aqeede ke mutabiq aur haqeeqat ke khilaaf hota hai.

Tauriya ka maana: Kisi khaas maqsad ya maslehat ke peshe nazar haqeeqat ke khilaaf baat karna.

Taalib e ilm tauriya ka istemaal na kare.

Sabse badtareen jhoot, ilm ka jhoot hai.

Jhoot bolne ke nuqsaanaat:

  1. Logo ke dilo me aitemaad khatm ho jayega
  2. Uska ilm chala jayega aur maqbooliyat dheere dheere khatm ho jayega
  3. Sach bhi bolne par qubool nahi kiya jayega.


--  Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment