Thursday, 29 October 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-5


Dars Highlights:

Download Dars-5 (MP3 Format)

Download Dars-5 (Original Recording)


Dars conducted on: 04th February 2015

POINT NO.8:

"Taalib e ilm ko adab aur muru'at wala hona chahiye"

Muru'at ka asal maana: Mar'a lafz se bana hai jiska maana hai insaaniyyat.

Taalib e ilm har woh acche kaam kare jo use khoobsurat, taa'reef wala banaye aur aise cheezon se bache jo use aibdaar banata hai. Agar aisa kaam kare toh use muru'at wala insaan kaha jayega.

POINT NO.9:

"Taalib e ilm ko mardana khoobiyon se aarasta hona chahiye."

Mafhoom: Jahan haq baat kehne ki zaroorat pesh aaye, toh bagair kisi dar ya jhijak ke haq baat kah di jaye. Isme dileri, himmat jurrat ki sifat payi jani chahiye. Saath hi saath achhe akhlaaq aur oncha kirdaar wala hona chahiye, buzdili, be-sabrapan nahi payi jani chahiye.

POINT NO. 10:

"Taalib e ilm ko bahut zyada khush-hali, ba-nemat aur aish o aaraam ikhtiyaar nahi karni chahiye."

Agar che ye cheeze haraam nahi hai magar ek taalibe ilm ko apni zindagi me in cheezo ko bahut zyada istemaal se bachna chahiye.

Hadith: "Bazaazaah" emaan me se hai.

"Bazaazaah" ka maana: Darmiyana rawi ikhtiyaar karna, kam cheezo me iktifaa karna aur usi par sabr karna, aish o aaraam ki talaash me na rehna.

Hadith: Allah ke nabi ne bahut zyada naaz o nemat aur mayaar (standard) pan ikhtiyaar karne se mana farmaya hai.

Hadith: Kabhi kabhaar bina chappal jute ke bhi chal liya karo.

Umar farooq Abu musa ashari radhi allahu anhuma se kehte hain:  Bahut zyada nemat wali zindagi se bachna, ajam (non-arab) ke lifestyle/zindagi ko na apnana.

Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: "Maad ibn Adnaan jaise zindagi apnao". Yaani bahut zyada saadgi wale taur tareeqe apnao.

Umar farooq: "Main ek aalim/taalib e ilm ko dekhna chahta hoon ki woh safed libaas me rahe."

Ibn uthaimeen rahimahullah: "Baut zyada aish o aaraam, naaz o nemat mu'annas pan (Feminity) paida karta hai."


-- Majalisul-ilm Admin

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-4


Dars Highlights:

Download Dars-4 (MP3 Format)

Download Dars-4 (Original Recording)


Dars conducted on: 04th February 2015

POINT NO. 6:

"Taalib e ilm apne andar zuhd aur qanaa'at paida kare"

Zuhd ka lafzi maa'na - kisi cheez me dilchaspi/ interest/ raghbat nahi rakhna.

Zuhd ka sharee' maa'na- Duniya aur duniya ke rangeeni se raghbat na rakhna aur tamaam haraam cheezo se bachna.

Qanaa'at (contentment) ka maa'na:

Imam Shanqeeti rahimahullah (Musannif: Adwa al bayaan fee tafseer quran al kareem bil quran) Jo bhi Allah taa'la ne diya hai usi par raazi aur khush rahna.

POINT NO. 7:

"Taalib e ilm ke andar ilm aur majlis e ilm ki raunak paida honi chahiye"

Imam Ibn Sireen rahimahullah: "Woh log (salaf) ilm haasil karne se pehle hadiy (taur tareeqa, ilm ki raunak, ilm haasil karne ka jazba, akhlaaq etc.) haasil karte the."

Ilm ki raunak paida karne ka mafhoom: Fazool kaam na kare, fazool baatien na kare, majlis e ilm me betuki harkat na kare, zor zor se na hase, bahut zyada jaaiz mazaak bhi na kare etc..

Ahnaf bin Qais radhiallahu anhu:

"Hamare majaalis ko aurato ke zikr aur khane peene, pet ke zikr se paak rakho kyonki mujhe aisa aadmi bilkul pasand nahi jo apni besharmi aur pet ka zikr karne me mashgool rahta hai."


-- Majalisul-ilm Admin

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-3


Dars Highlights:

Download Dars-3 (MP3 Format)

Download Dars-3 (Original Recording)


Dars conducted on: 28th January 2015

POINT NO.3:

"Taalib e ilm hamesha Allah ki khashiyat ko laazim pakde."

Khauf aur Khashiyat me farq:

Khauf: Woh darr jisme yed zaroori nahi ki jisse dara ja raha hai woh unche maqaam aur haisiyat wala ho. Ye aam darr hai.  E.g. sher se darna, samaj ke kisi bure insaan se darna.

Khashiyat: Woh darr, jo kisi ke sharr, buraai se nahi dara ja raha hai balki uski azmat aur ooncha maqaam ke wajqh se dara ja raha ho.

Aayat: "Beshak allah se haqeeqat me darne wale ulama hi hain."
Is aayat me do baatien hain:
A. Khabar - Allah se darne wale ulama hi hain
B. Paigham - Ulama ko Allah se khaskar darna chahiye

Allah ki khashiyat ek taalib e ilm ki zindagi ha hissa ban jana chahiye.

Salaf ke aqwaal:

Imam Ahmad bin Hanbal rahimahullah: Asal ilm toh Allah se darna hi hai.

Imam khateeb al baghdadi:
Ali r.a kehte hain - Ilm amal ko aawaz deta hain. Agar amal labbaik kehta hai toh ilm baaki rehta hai nahi toh ilm chala jata hai.

POINT NO. 4:

"Hamesha ye tasawwur rahe ki Allah hame dekh (muraaqbah) raha hai."

"Muraaqbah" ka maa'na:

Galat maa'na-- Buzurgo ya ambiya ke qabron ke paas baithne se ilm haasil ho jayega.

Saheeh maa'na-- Allah ka hame hamesha dekhna, Allah being ever-watchful

POINT NO. 5:

"Taalib e ilm ko chahiye ki apne baazu past rakhe, khoyala aur takabbur se kaam na le."

Maa'na: Apne andar narmi ikhtiyaar karen, logo se narmi aur shafqat ka izhaar karen. Apne akhlaaq me takabbur ya guroor ka muzaahra na karen.

Khoyala aur takabbur me farq:

Khoyla-- Aisa badappan/akadd jiska asar insaan ke shakal ya jism par zaahir ho.

Takabbur-- Apne maal, ohada, nasab etc...par ghamand kare ya apne ko bada zaahir kare.

Kibr/Takabbur ka definition:

Hadith: Allah ke rasool ke farmaan ka mafhoom, "Asal takabbur kehte hain haqq aa jane ke baad uska inkaar kar dena aur logo ko haqeer/kamtar samajhna."

Allah ki nafarmani sabse pehle 3 cheezo se ki gayi:
A. Takabbur (Pride)
B. Lalach (Greed)
C. Hasad (Jealousy)


-- Majalisul-ilm Admin

Tuesday, 27 October 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-2


Dars Highlights:

Download Dars-2 (MP3 Format)

Download Dars-2 (Original Recording)

Dars conducted on: 21st January 2015

POINT NO.1 (contd.)

"Ilm Ibaadat hai..."

Ikhlaas ke mukhaalif cheezein:
Riyaa (lafz ruyat se, jiske maane hain dikhawa) ya suma'aat (lafz sama'a se jiske maane hain sunana) - koi kaam kisi ko dikhane ke liye ya sunane ke liye kiya jaye.

Riya ke 2 qisme hain:

A. Riya ash-shirk: Aisa riya jisme Allah ko raazi karna aur logo ko dikhana dono maqsad ho.

B. Riya al-ikhlaas: Aisa riya jisme sirf logo ko dikhana ya sunana hi maqsad ho.

Salaf ke kuch aqwaal:

1. Sufyaan as thawri: Mujhe Allah ke taraf se quran ka faham diya gaya tha, jab se maine surra (thaila) qubool kiya ye ilm Allah ne mujhse cheen liya.

2. Sufyaan as thawri:  Mera muqaabla jitna apni niyyat se hui hai utna kisi se nahi hua.

B. Ibaadat ki doosri shart -- Allah aur uske rasool sallalahu alaihi wasallam  se haqeeqi mohabbat kare, aur ye pata chalega jab ham Allah ke rasool ki sunnat ki ittebaa karenge aur unke siwa kisi aur ko masoom nahi samjhenge.
Yahan mohabbat sabse oonchi darje wali mohabbat muraad hai.

POINT NO.2:

"Salaf e saaliheen ke raaste aur naqshe qadam par rah karke ilm haasil karo, salafi bano كن سلفيا علي الجادة"

Mafhoom: Deen ke tamaam abwaab me salaf e saaliheen ke naqshe qadam par chale, nabi ke sunnato ko apne upar naafis kare, jhagada na kare, ilm e kalaam me na pade etc.

Hafidh adh-dhahabi Imaam Daarqutni ke baare me farmate hain: Imaam Daarqutni ke nazdeek ilm e kalaam se buri cheez kuch nahi thi, woh kabhi bhi isme nahi pade, balki woh salafi the.

-- Majalisul-ilm Admin

Introductory Book: Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-1


Hiliyatut Taalibul Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) by Allama Shaykh Bakr Abu Zayd rahimahullah is one of the finest and classical book available on the subject. This work is an epitome of mannerism for a student of knowledge, and to be acquired and practiced by every student.

Taught by our respected Shaykh Inaytullah As-Sanabli Al-Madani hafidahullahu Taa'la, the series of lectures of explanation of this book is still in progress. As and when the lectures are conducted, it will posted in this section InSha Allah.

Dars Highlights:

Download Dars-2 (MP3 Format)

Download Dars-2 (Original Recording)

Dars conducted on: 14th January 2015

POINT NO.1:

"Ilm ibaadat hai" "علم عبادت ہے"

Ibaadat ka matlab (ibn taymiyyah): Woh tamaam cheezen jo kahi jati ya ki jati hain, zaahir ho ya chupi ho jise Allah pasand kare aur Allah usse raazi aur kush hota hai.
E.g. Namaz, quran ki tilawat, zikr, allah ki wahdaaniyat ka ilm seekhna, uske haqeeqi mabood hone ka ilm seekhna etc.

Daleel (e.g.): hadith: jisne Allah ke 99 namo ko "ihsaa" kiya (ihaata, sameta) use jannat ka wada...

Ihsaa ka maana:
A. Allah ke namo ko janna
B. Uske naamo ke mafhoom ko samjhna
C. Dua me Allah ke naamo ka waseelah pakadna
D. In namo ka asal mustahiq sirf Allah hi ko samajhna

Ibaadat ki qisme:
A. Pehli qism -- Woh ibaadat jo sarapa, mahaz ibaadat hi hai e.g. namaz, zikr etc..
B. Doosri qism -- Woh ibaadat jo allah ko raazi karne ke liye kiya jaye ya bando ki khidmat ke liye...ye sarapa ibaadat nahi hota..balki in kamo ko ibaadat banaya jata hai. E.g medicine ka ilm seekhna, is niyat se ki mere rozi ka zariya banega aur mareezo ki khidmat karooga aur allah ko raazi karne ki niyat ho

Note: jab ilm ibaadat hai toh us ilm ke haasil karne me ibaadat ki shartein puri honi chahiye.

Ibaadat ki shartein:
A. Pehli shart -- Ikhlaas: sirf aur sirf allah ko raazi karne ke liye ilm haasil karna

Ibn uthaimeen: agar ilm haasil karne ka maqsad sirf certificate haasil karna hai taaki koi uhada mile, toh woh shaks mukhlis nahi hai...magar agar kisi ki niyat ye ho ki agar certificate mile toh log mujhe is qaabil samjhenge ki dars de sakoo aur nafa pahuncha sakoo...toh isme koi haraj nahi.

Ibn uthaimeen: Ikhlaas kaise paida kare?
A. Ilm haasil karte waqt ye gumaan rahe ki ilm hasil karne se allah ke hukm par amal hoga
B. Ye guman rahe ki Iske zariye se allah ke deen ko milawat se bachaoonga/ hifaazat karoonga
C. Ye guman rahe ki Allah ke deen ki himayat karoonga, uska support karoonga

D. Allah ke deen ki itteba karoonga us tareeqe par jaisa allah ko manzoor hai.


-- Majalisul-Ilm Admin