Friday, 20 November 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-31

Download Dars-31 (MP3 Format)

Download Dars-31 (Original Recording)

Dars conducted on: 21st October 2015

Dars Highlights:

POINT NO. 56

"Ahliyyat aur qaabliyyat se pehle  kisi cheez ka ahl ho jana, is cheez ki koshish taalibe ilm ko nahi karni chahiye."

Sadaarat qaabliyyat ke baad hoti hai

Aisa karna ilm aur amal ke liye musibat hai

Jo waqt se pehle aage badhne ki koshish karta hai woh apne aap ko zaleel karta hai.

POINT NO. 57

"Ilm ke zariye apne aap ko sher/cheeta (namr) zaahir karna, ilm ke mamle me apne aap ko bada batana."

Taalibe ilm apne hasiyyat se hatkar doosre libaas na pehne (badh chadh kar apne aap ko pesh na kare).

POINT NO. 58

"Safahaat ko syaah karna, bahut kuch likhna magar usme koi wazan na ho, koi ilmi baat na ho."

Taalibe ilm bina wajah, be-maqsad qalam na uthaye. Salaahiyyat aur pukhtagi haasil hone se pehle agar likhe toh dar-asal ye apne aibdaar hone ki daleel ho jayegi.

Khateeb al Baghdadi rahimahullah farmate hain: “Jisne kisi kitab ki tasneef ki, goya usne apni aqal ko ek plate me rakh kar duniya ke saamne pesh kiya.”

POINT NO. 59

"Taalibe ilm ko agar kisi aalim ki koi galti mil jaye toh unki be-izzati karne ke liye khush nahi hona chahiye balki mas'le ki islaah karne ke liye Allah ka shukr ada karna chahiye."

Aalim ki galti par unki be-izzati wahi karega jo aalim nahi hoga balki muta'aalim (aalim hone ka dawah karne wala) hoga.

-- Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment