Friday, 20 November 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-26

Download Dars-26 (MP3 Format)

Download Dars-26 (Original Recording)

Dars conducted on: 02nd September 2015

Dars Highlights:

POINT NO. 43

“Taalibe ilm ko chahiye ki har subject/fann ke saath uske zimni fann (aalaat, mutaalliqa) ke ilm se bhi aaraasta ho.”


POINT NO. 44

Ilm e naafi ki 6 nishaaniyan:

  1. Ilm ke mutabiq amal kiya jaye
  2. Apni tareef, taqwa aur buzurgi bayaan karne se bache, Makhluqaat se bade hone ka dawah karne se nafrat ho, takabbur na ho
  3. Jitna zyada ilm wala hoga utna hi mutawaaze (jukhao) bhi hoga, Salaf ka qawl: Ilm ek darakht ki tarah hai aur uska phal amal hai aur jitna zyada phal hoga utna hi jhuka hoga.
  4. Riyasat, uhada, mansab aur sardari se mohabbat na ho
  5. Ilm ka dawah na kare
  6. Ilm wala khush gumani me nahi rahega aur na hi doosre ke silsile me bad gumani rakhta hai, albatta apne silsile be soo e zann rakhe aur doosre ke silsile me hamesha husn e zann rakhe.


POINT NO. 45

"Ilm haasil karo toh ilm ka zakaat bhi nikalo."

Ilm ka zakaat nikalne se muraad us ilm e haqq ka elaan karna, bhalai ka hukm dena aur buraai se rokna hai.

Abu hurairah radhiallahu anhu ki hadees jisme Allah ke rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya: Insan ke marne ke baad 3 cheezo se faida hote rehta hai:

  • Sadaqa jaariya se faida
  • Ilm e naafi se faida
  • Aulaad ki dua se faida

Imam Khateeb Baghdadi rahimahullah farmate hain: “Ye teeno cheeze ek aalim hi ke andar paya jata hai.”

Ilm ko jitna zyada kharch kiya jaye, utna hi zyada badhta hai.

Ek aham naseehat:
Agar zamaane, mahaul ki buraai ka hawala dekar ilm ki tableegh band kar de toh dushman buraai aur fahaashi phailane ke liye surkh sona lutayenge.
Isliye zamaana kaisa bhi ho, dawat o tableegh ko jaari rakha jaye.

-- Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment