Download Dars-4 (6 MB)
Dars conducted on: 30th March 2016
Dars Highlights
Dawat ilal Allah (Contd.):
Jis cheez ka ilm haasil kiye, aur jis par amal kiye, uski dawat dena yaani us khair aur bhalaai ki taraf bulana.
Dawat ilallaah ki 4 maraatib:
Surah Nahl, 125
A. Hikmat: Allah ki taraf bulana ya Allah ke raaste ki taraf bulana dono ek hi cheez hai.
Hikmat: Woh saari khoobiyan jisse dawat ka maqsad pura ho, sab hikmat me shaamil hain.
B. Mou'izatil hasanah (Achhi naseehat)
C. Ahsan Jidaal (Achhe tareeqe se bahas)
Surah Ankabut, 46
D. Zulm karne wale se achhi bahas, jidaal, mubaahla kiya jaye.
Chaaro maraatib me ilm ka hona mushtaraq (pre requisite, common) hai. Bagair ilm ke dawat mumkin nahi.
Ambiya alaihis salaam ne kabhi bhi ilm ke bagair dawat nahi di.
Dawat ke tareeqe:
Duroos
Khitaabat
Juma khutbah
Muhaazraat (public lecture)
Maqaalaat (Articles, pamphlets)
Halaqaat e ilm
Tasneef, tahreer
Khaas majaalis (on special issues)
Dawat ilal Allah ambiya alaihimus salaam ka mission raha hai.
Chautha mas'ala:
4. Dawat ilallaah me Sabr:
Sabr ka mafhoom: Tamaam pareshaniyaan, masaaib, zulm ko jhel kar apne maqaasaid par qaayam rehna.
Allah taa'la ne rasool e akram sallallahu alaihi wasallam ko sabr karne ki talqeen farmaayi.
-- Majalisulilm Admin
No comments:
Post a Comment