Friday, 19 August 2016

Usool ath thalathah (The Three Fundamentals) - Dars-7


Download Dars-7 (6 MB)
Dars conducted on: 20th April 2016

Dars Highlights

2. Allah taa'la is baat se kabhi raazi nahi hota ki uske sath kisi ko shareek kiya jaye chahe woh koi muqarrab farishta ya bheja hua rasool hi kyon na ho.

Masjid ka maa'na: jaye sajdah, sajdah karne ki jagah

Dua ka maa'na ibaadat bhi hota hai.

Allah taa'la ne shirk ko mitane ke liye ambiya aur rusul ko bheja, kitaben aur sahife bheje, jihad ka hukm diya etc.

Teesra mas'ala:

3. Jo Allah aur uske rasool ki itaa'at kare aur shirk se bache toh uske liye jayaz nahi ki kisi aise shaksh se dosti ya rishta naata rakhe jo Allah aur uske rasool se dushmani rakhta ho.

Al walaa wal baraa' (dosti aur dushmani) islam ka ek buniyadi mas'ala hai.

Emaan walo me jis qadr farmabardaari ho us qadr usse mohabbat aur jitni naafarmaani paaya jaye utna usse nafrat kiya jaye.

Kaafir se kabhi bhi dili dosti aur mohabbat nahi honi chahiye.


Is mas'ale me kaafiro ke sath samaaji talluqaat, padosi ka haqq aur khair khwahi ka mam'la alag hai jo uske sath kiya jayega.

-- Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment