Download Dars-8 (11 MB)
Dars conducted on: 4th May 2016
Dars Highlights
Itaata ka maa'na hai apne bade ki chahat ke mutaabiq apne aap ko dhaalna. Yaani, jin baton ka hukm diya jaye use kare aur jin baton se mana kiya jaye usse bache.
Haneefiyyat, Hanf حنف lafz se aaya hai jiska maa'na hai maa'il hona, jhukao hona.
Haneefiyyat ka Shar'ee maa'na: Sabse qata talluq karke Allah taa'la ke taraf aa jana, jhuk jana.
Pure taur par har tarah ke sharr se apna rishta kaat karke hasanaat ke taraf maa'il ho jana.
Millat ka maa'na hai deeni aitebaar se koi raasta ya manhaj.
Haneefiyyat naam hai Khaalis Allah taa'la ki ibaadat bina kisi milawat ke karna.
Ibaadat ka maaña hai maa tahati, jhukao, pasti, inkesaari, aajiz, zaleel jana.
Allah taa'la ki ibaadat me Mohabbat aur azmat ka pahlu hona zaroori hai.
Ibn Taymiyyah rahimahullah Ibaadat ki tareef me kehte hain: Jis kaam ko Allah taa'la pasand kare woh kaam ibaadat hai.
Liyaa'budooni (Surah Zaariyaat, 56) ka maa'na mufasireen ne liyuwahhidooni liya hai jiska maa'na hai Allah ki tawheed ko manna.
Ikhlaas خلص ka maa'na hai chutkara paana, milawat aur shirk se chutkara.
Sabse badi cheez jiska hukm Allah ne diya woh Tawheed hai jiska maa'na hai افرادالله فى العبادة Allah taa'la apne ibaadat me akela hai.
-- Majalisulilm Admin
No comments:
Post a Comment