Download Dars-6 (7 MB)
Dars conducted on: 13th April 2016
Dars Highlights
Woh teen masaail jinka janna aur uspar amal karna zaroori hai:
1. Allah taa'la hi ne hame paida kiya aur usne hame rizq ata farmaya aur usne hame be maqsad nahi choda balki hamare taraf rasool bheja. Jisne rasool ki itaa'at ki woh jannat ka haqdaar hoga aur jisne rasool ki nafarmani ki woh jahannam ka haqdaar hoga.
Do tarah ke giza insaan ke liye zaroori: Jismani giza aur roohani giza.
Ibn Qayyim rahimahullah farmate hain: Roohani giza jismani giza se zyada aham hota hai.
Khalaqana خلقنا ka maa'na ye hai ki kisi cheez ko aagaaz se bina koi misaal ke paida karna.
Hamalan حملا ka maa'na hai be-maqsad, fuzool
Allah ka hamare taraf rasool bhejna uske taraf se bahut bada enaam, ehsaan, aur uska adl o insaaf hai.
Rasl رسل, irsaal ارسال ka maa'na hai bhejna, Mursal مرسل matlab bheja hua.
Rasool bhej kar Allah taa'la ne tamaam qaumo par hujjat qaayam kar di hai.
-- Majalisulilm Admin
No comments:
Post a Comment