Saturday, 14 November 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-9

Dars Highlights:

Download Dars-9 (MP3 Format)

Download Dars-9 (Original Recording)

Dars conducted on: 11th March 2015


POINT NO. 16 (Contd…)

Ilm haasil karne me shuruaat kis cheez se kare?

Imam Ibnul Arabi Al-Maaliki (Jame' tirmidhi ke shaareh) rahimahullah farmate hain ki taalibe ilm ko chahiye ki pehle arabi zabaan seekhe aur phir kuch ginti (maths) seekhe phir quraan padhna seekhe. Ek saath do ilm haasil na kare.

Ibne khaldun rahimahullah (Al Muqaddama ke musannif) ne Ibnul Arabi ke is qawl ko radd karte hue farmaya ki sabse pehle Quran e Kareem ko padha aur seekha jaye, phir usko hifz kiya jaye. Ek saath do ilm haasil na karna koi qaaidah nahi hai...ye haalaat par dependent hai.

Saudi Arab me ilm haasil karne ka system:

Har Maktab/Masjid ke halaqe me ilm seekhne ke 3 darje hote hain:

A. Adnaa (Beginning)
B. Asnaa (Intermediate)
C. Aalaa (Advance)

Subject aur kitabe jo padhai jati hai:

Subject: Aqeedah tawheed
A. Tawheed al Uluhiyyah
Pehla darje me "Usool as salaasah", "Qawaaid al arbaa"
Dusre darje me "Kashf ash shubahaat"
Teesre darje me "Kitab at Tawheed"
Ye charo kitaabe Shaykh Muhammad Ibn Abdul wahhaab rahimahullah ne likhe hain.

B. Tawheed al Asmaa was Sifaat:
          Aqeedah al Waasitiyyah
          Aqeedah al Hamawiyyah
          Aqeedah at Tadmuriyyah
Ye teeno kitabe Shaykh ul Islam Ibn Taymiyyah rahimahullah ne likhe hain.

C. Advance Aqeedah
         Aqeedah at Tahawiyyah

Ye kitaab Shaykh Abu Jaafar at Tahaawi rahimahullah ne likhe hain.

--  Majalisul-ilm Admin

No comments:

Post a Comment