Aqeedah wa Sunnat se Mutalliq Salaf-e-Salihieen ke Aqwaal
Arabi Kitab ka Naam : Lammid-durril-mansoor minal qawlil ma’soor fil itiqaadi was sunnah
Kitab ke Naam ka Tarjuma : Aqeedah wa Sunnat se Mutalliq Salaf-e-Salihieen ke Aqwaal
Urdu Kitab ka Tarjuma: Shaykh Abu Abdullah Inayatullah bin Hafeezullah Sanabali Madani Hafidhahullah
Musannif ka Naam : Shaykh Jamaal bin Furayhaan Al-Harithi Al-Humayli Rahimahullah (Shaykh Salih bin Al-Fawzan Hafidhahullah ke khas shagird hain)
Kitab ka Mawzoo : Is kitab me 59 abwaab (chapters) hain aur 785 aqwaal hain jisme aqeedah, manhaj, sunnat etc. se mutalliq salaf-e-saliheen ke aqwaal mawjood hain.
Muqaddimah ki Aham Batein:
- Shaykh Salih bin Al-Fawzan ne is kitab ko padha hai, samjha hai aur is par nazar-e-sani ki hai.
- Shaykh Saleh bin Abdul Azeez Aal-Shaykh (Saudi Arab ke grand mufti) ne bhi is kitab ko padha hai aur is par muqaddimah likha hai.
- Shaykh Muhammad bin Salih Al-Uthaymeen rahimahullah ne bhi is kitab ko padha hai aur ta’reef ki hai.
- Kitab ke naashir (Maktabah Darussalam, Kashmir) ke ne bhi ek muqaddimah likha hai jisme unhone Abu Bakr As-Siddique (radhiallahu anhu) ka ek qawl naqal kiya hai jiska maa’na hai “Jin logo ka palada qayamat ke din bhaari hoga uski wajah ye hogi ki unhone is duniyawi zindagi me haqq ki pairvi ki hogi…aur us tarazu ko ye haqq haasil hai ki agar usme Haqq ho toh woh bhaari ho jaye. Aur jin logo ka palada qayamat ke din halka hoga uski wajah ye hogi ki unhone is duniyawi zindagi me baatil ki pairvi ki hogi.” (Musannaf Ibn Abi Shaybah, Tafsir At-Tabari)
Ali bin Fudail apne walid Fudail se poochte hai : “Ashaab e Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) ki batein kitni meethi hoti hain! Walid ne jawab diya : Kya tum jante ho ki sahabah ki batein itni meethi kyon hoti hain? Kyonki unki baton ka maqsad sirf Allah taa’la ki razamandi hoti thi.” (Hilyatul Awliya)
Allah ke Rasool (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya (jiska maa’na hai) :
- Tum log hamesha bhalai me rahoge jab tak tumhare darmiyan woh log rahenge jinhone mujhe dekha hai aur jo mere saath rahe hain (yani Sahabah).
- Allah ki qasam tum hamesha bhalayi me rahoge jab tak tumhare andar woh log (tabai’) rahenge jinhone unhe (sahabah ko) dekha jinhone mujhe dekha hai.
- Aur Allah ki qasam tum hamesha bhalayi me rahoge jab tak tumhare andar woh log (Atba-Tabai’) rahenge jinhone unhe dekha hai jinhone mere sahaba ko dekha hai (tabai’) aur jinhone unki sohbat ikhtiyaar ki hai jinhone mere sahaba ki sohbat ikhtiyaar ki hai. (Is hadees ko Allama Albani ne saheeh kaha hai)
Is kitab ko padhne ka maqsad ye hai ki Sahabah, tabai’, atba-tabai’ aur deegar salaf ke aqwaal ke zariye unka ideal hamare saamne aa jaye aur ham uspar amal karen.
- Majalisul Ilm Admin
No comments:
Post a Comment