Download Dars-12 (MP3 Format)
Download Dars-12 (Original Recording)
Dars conducted on: 01st April 2015
Dars Highlights:
POINT NO. 17
“Taalib e ilm ko chahiye ki ilm ahle-ilm se hi haasil kare, aur Ustaadh ki nigraani me hi ilm haasil kare.”
Ustaadh ki nigraani me ilm haasil na karne ke nuqsaanaat:
Imam Safadi rahimahullah farmate hain: "Ulama ka kehna hai ki ilm kisi sahfi ya mushafi se haasil na karo."
Abu Hayyan Andaloosi ka jab naam Ibn Maalik ke saamne liya jata tha...toh kehte the..."unke ulama kahan hai"?
Imam Auzaai rahimahullah farmate hain: "Jab tak Ilm zabaan ke zariye liya jata tha, tab tak ilm mohtaram tha, lekin jab ilm ko kitabo me darz kar liya gaya toh na-ahal log bhi ulama me shaamil jo gaye".
Shaykh Bakr Abu Zayd rahimahullah farmate hain: "Talab e ilm ke ta'lluq se asal ye hai ki ilm ilm walo ke samne baith kar karke haasil kiya jaye.
Hadith ke padhne padhane ke tareeqe:
1. Muhaddith hadith bayaan kare aur shaagird use sune (samaa')
2. Shagird likhe hue hadith ko padhe aur ustaadh use sune aur check kare.
Salaf ka Qawl:
“Jo shaksh akele ilm haasil karne ke liye nikalta hai woh akela hi wapas nikal aata hai.”
Ali Ibn Rudwaan Al-Misri rahimahullah farmate hain: "Ilm haasil karne ke liye ustaadh ki zaroorat nahi, ustaadh se ilm haasil karne ke bil muqaabil akele kitabo se ilm haasil karna behtar hai."
Haafiz Adh-Dhahabi rahimahullah farmate hain: Apni mashoor kitaab Siyaar aalamin nubala me likhte hain, "Ali Ibn Rudwaan ka koi shaykh nahi tha aur unka ye nazariya galat hai."
Sirf kitabo se ilm haasil karne ke nuqsaan:
Ibn Butlaan rahimahullah farmate hain: “kitabo me kuch aisi cheeze hoti hai jo ilm haasil karne me rukawat ban jati hai, jaise naamo ki padhne me farq, nukte, zer, zabar ka farq etc.”
-- Majalisulilm Admin
No comments:
Post a Comment