Dars Highlights:
Download Dars-7 (MP3 Format)
Download Dars-7 (Original Recording)
Dars conducted on: 25th February 2015
-- Majalisul-ilm Admin
Download Dars-7 (MP3 Format)
Download Dars-7 (Original Recording)
Dars conducted on: 25th February 2015
Fasl No. 2: "Taalib e ilm ko ilm
kaise haasil karni chahiye, ilm haasil karne ka kya tareeqa hona chahiye"
POINT NO. 16:
“Ilm haasil karne ki kaifiyat aur
maraatib: Jo ilm ke jado (buniyaad, asal) ko achhi tarah mazboot nahi karta woh
manzil (ilm ke manzil) tak nahi pahunch payega.”
Jo ek saath saara ilm haasil karne ka iradah karta hai, woh kuch bhi
haasil nahi kar sakega.
Ilm 6 cheezo ke bagair haasil
nahi ho sakti:
A. Zahanat (aqalmandi)
B. Hirs (shauk, lalach)
C. Bulgaah (saaz o saaman)
D. Ijtihaad (mehnat)
E. Irshaad e ustaadh (Ustaadh ki hidayat)
F. Tool al zamaan (lamba waqt)
Kaan me agar ilm ki bheed kar di jaye (ek hi waqt me bahut sa ilm
haasil karne lage) toh samajh bikhar jayegi aur koi faaidah nahi hoga.
Tareeqa husool e ilm:
A. Kisi bhi qism ke fann ya ilm haasil karne ki shuruaat us fann ki
buniyaad se kare.
B. Us fann ki koi mukhtasar kitaab ko kisi thos
ilm wale ustaadh ki nigraani me hifz kar le.-- Majalisul-ilm Admin
No comments:
Post a Comment