Friday, 20 November 2015

Hiliyat-ut-Taalib-ul-Ilm (The Etiquettes of Seeking Knowledge) - Dars-14

Download Dars-14 (MP3 Format)

Download Dars-14 (Original Recording)

Dars conducted on: 15th April 2015

Dars Highlights:

POINT NO. 19

“Taalibe ilm ko chahiye ki is baat ka khayaal rakhe ki uska ustaadh uska raas ul maal hai.”

Taalibe ilm ko chahiye ki is baat ka khayaal rakhe ki uska ustaadh uska raas ul maal hai.

Taalibe ilm ko apne shaykh ke ehtaraam me hadd se nahi badhna chahiye ki uske har harkat o aadat ki nakkali karne lage.

POINT NO. 20

“Taalibe ilm ko chahiye ki ilm haasil karne ke dauraan shauk aur dischaspi rakhe.”

Imam Khateeb Baghdadi rahimahullah farmate hain: “Ilmi faaidah ka haqq ye hai ki uske chahne walo tak pahunchaya jaye.”

POINT NO. 21

“Taalibe ilm ko chahiye ki dars ke dauraan aham points ko likhne se pehle ustaadh ki manshaa jaan le.”

POINT NO. 22

“Taalibe ilm ko chahiye ki sahi aqeedah aur manhaj wale ustaadh se hi ilm haasil kare.”

Taalibe ilm ko apne ustaadh ke taalimaat ke baare me, unke asaataza ke baare me puri tahqeeq kar leni chahiye.

Imam Ibn Mubarak rahimahullah bidatiyon ko asaaghir (chote log, gaye guzre log) kaha karte the.

--  Majalisulilm Admin

No comments:

Post a Comment